Wednesday, November 2, 2011

Raho se Manzil YA Manzil se Rahe

"Sometimes the destination is so amazing that we tend to choose any path that lead us to it, however tough it is... And sometimes the path is so wonderful that we don't mind to which destination it may lead."
                     -Original thoughts by Deepika Bansal. :)

Phle to ye manzile itna lubhati hai ki unhe panke ki chah me hum mushkil se mushkil raho par bhi chalne ke liye tyaar ho jate hai. Bhot saare alternatives me se ek simplest possible rah ko chunte hai aur thodi dur chalne par pta chalta hai ki arrey this is not as simple as thought earlier. Par koi bat nhi, ab jab chalna shuru kr hi diya hai to aise dar kr beech me rukege to nhi, manzil ko to ab paa kr hi rhege (spirit you see...).

Apne aap ko kafi inspire aur motivate krte hue kadmo ko aage bdate jate hai. Jitna badte jao, utni hi manzil dur lagne lagti hai. Strange... Fir dheere dheere manzil se jada raho se lgav ho jata hai.. Aise hi manzil ko chase krne me hi mza aane lgta hai. Gradually jab aise hi satisfaction milne lgti hai to manzil, jo abhi tak bhot dur lgti thi, achanak se darwaze par dastak de deti hai. Aur hum sochte hai-"Arrey ab ye kya hai...kya itna safar tai kar bhi liya....!!"

Chalo ab jab naav (boat) kinare par aa hi gyi to kya kr skte hai. Par is pure scene me raho me aage badne ki shayad adat si ya shounk (chaska is probably the better word here) sa ho gya. Aur shayad isiliye ek nayi manzil ke liye fir se chalna shure kr dete hai aur ye silsila chalta rehta hai.

Shayad ise hi log tarakki kehte hai. :)

PS: The feeling/theme before writing this post was entirelydifferent. But as I was writing, I just went along with the flow of my thoughts which gave it an altogether a new face. Will definitely try to write the original thoughts behind this post some fine day. :))

No comments:

Post a Comment